Monday, May 19, 2008

Apne hoton per sajana chahta hu

Apne hoton per sajana chahta hu,
Ab tujhe main gun-guna na chahta hu,

Apne aasu tere daman per gira kar,
Bund ko moti banana chahta hoon,

Thak gaya main karte-karte yaad tujhko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hu.

Cha raha saari basti me andhera,
Roshni se ghar jalana chahta hu.

Aakhri hichki tere naam pe aye,
Maut bhi main shayarana chahta hu.