khote na hon jo hosh unhe ghar bulaa ke pee
yaa phir buton ko saamne, apne biTha ke pee
behad naa pee, naa bol bahut, josh mein naa aa
ruk ruk ke pee, sukoon se pee, sar jhukaa ke pee
daulat hai faqat chaar dinon ki pee le
izzat hai faqat chaar dinon ki pee le
hai waqt shab-o-roz tabaahi ki taraf
mohlat hai faqat chaar dinon ki pee le
chalo pee lein ke yaar aaye naa aaye
ye mausam baar baar, aaye naa aaye
gulaabon ki tarah tum taazaa rahnaa
zamaane mein bahaar aaye naa aaye
ye sochaa hai ki usko bhool jaayen
ab is dil ko qaraar aaye naa aaye
"zameer" is zindagi se kyun Khafaa ho
ise phir tumpe pyaar aaye na aaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment